
This is the segment of www.apnichat.org where you can post your columns. Write on any topic, any thought, any concept any idea or whteva happening in your surroundings. You can write it in English and roman Urdu. CLICK HERE to send us your columns or send directly at admin@apnichat.org and we will post them in this section with your nick or name and e mail address if you want to have viewers response.
![]()
|
Posted by kashaan. E.mail. admin@apnichat.org Jaboori walon pay kya guz Ab
reh bhi kya geya hai ...... dukh ...... aansoo .... aur yaadein ......
sirf yaadein.. bala-kot
ujar geya .... mera aur aap ka bala-kot .... yeh 8 october ki
khufnaak raat ka
teesra pehar tha .... hamari garyaan dheeray dheeray bala-kot ki
hadood mein dakhil
ho rahi thein ....ek ajab manzar tha ...... bahut
ajab ...... har taraf malbay kay dher
aur giri hoi amaartein ...... har taraf gehra sakoot ...... jesay
shehar par kisi aaseib
ka saaya ho .... dil bala-kot ki khubusrtyon
aur rangeenyon ko dhoond raha tha
..... magar .... yahan to manzar hi badal chuka tha .... yahan
zindagi rooth chuki thi
.... aur bus mout ka raqs tha .... inn wadyon ko kis ki nazar kha gai ...
aesa lagta tha
jesay kisi nay iss shehar par zameen ulat dee ho .. 8 october ki khufnak
raat ka teesra
pehar aur darya-e-kunhar ki chinghaar .... yahan zameen abhi tak
laraz rahi
thi aur aasman say pani baras raha tha ... ... ... ... .............
........... .... .... .... wo
shakhs ..... shehar mein wo pehla shakhs tha jis say hamari baat
hoi ...... umr 65
ya 70 saal ...... aankhon mein wehshat ....... apni maadri zubaan
mein kehnay laga ......
tum kehtay ho yeh zalzala tha ..... nehi ....... yeh zalzala nahi tha
....... yeh qaymat
hai ........ yaqeen karo qayamat aa gai hai ......sari dunya tabah ho
chuki haii
.... abhi phir zameen hilay gi aur mein, tum, hum sab bhi mar jaein
gey ........ kyon
kay qayamat aa gai hai ...... yeh qayamat hai ..... qayamat
........ yeh kehtay howay
oss ki aankhein bhar aaein .... .... .... .......... hum
darya kay daein kinaray 7 kilometer
andar jaboori gaon mein dakhil ho rahay they ....... yahan kuch bhi
na bacha
tha ... 300 gharon mein say aik bhi salamat nahi tha... har taraf
pathhar bikhray
paray they ..... sara gaon tabah ho chuka tha ....... na makaan rahay na makeen
...bus laashein hi laashein .... kuch aesay they jo zindagi bhar
apnon ki judai
ka gham sehnay kay liey bach gey .... bay-bas ..... lachaar .. inn
kay paas lashon
key liey kafan tak na they .... bay-basi hi bay-basi thi ...hamaray
paas jo imdadi
saaman tha wo khatm ho chuka tha .... ajeeb bay-basi ka aalam
tha .... .. oss aurat ka naam zeenat tha .... woh .... kabhi bilal kay chehray ko choomti thi kabhi
bano siskyaan hain
aur chaar su raqs karti wehshat
.... paharon kay daman
mein rakhi
3 nannhi laashein
.. daein hath par 8 saala bilal apni maan
kay gham say bey-khabar
dour mout ki wadyon mein gum ho chukka..darmayan mein bilal ki 6 saala
behan bano jis ki muskurahtein hamesha kay leiy khamosh ho chukein
... aur
baaein hath par apni maan ka laadla 5 saala hamza jo maan kay chehray
par bosa
diey bina hi ossay alwida keh chukka ...maan ki aankhon kay saamnay
oss
kay bachon ki laashein thein
zeenat kay teen hi bachay they
oss ki kul kaainaat
lut chuki
oss ki cheenkein dil dehla rahi thein
... kabhi kabhi to
youn lagta kay
iss ki cheenkhon say arsh zameen par aa giray ga ........ .... .....
........ yeh
9 ocotober ki shaam 4 bajay ka waqt tha jab bilal ..... bano ... aur hamza
kay janazay uthaaey
gey
.... zeenat deewana waar apnay bachon kay peechay bhaag
rahi thi
.. kehti thi Khuda kay waastay meray bachon ko kahin
na lay kar jao
yeh meray laal hain.....
bano nay aaj sehri bhi nahi kee
bilal aur hamza bhi bhookay
hain
inhein aftaar kon karaey ga
wo apni maqami zubaan mein ban
kar rahi thi magar lagta tha dil ghum say phut jaaey ga
.. aesa manzar
tha kay
aanso zabt kay saray bandhan tor kay meray gallon par beh niklay
...
....... sab
maaein aik jesi hoti hain na
bahut masoom
bahut chahnay
walein
.... .. mein
apnay doston say apnay aanso chupana chahta tha ... magar ab
shaid iss ki
zaroorat na rahi thi .. onn ki aankhon say pehlay hi aanso chalak
rahay they
hamein
balakot aaey howay 15 ghantay ho chukay thay aur inn 15 ghanton
mein hum
nay tabahi mout aur barbadi ki bahut si daastanein dekhi thein magar
ab dil say
aur nahi saha geya
aaj 3 saal baad aankhein phir say bahut ro rahi
thein
bilal
bano aur hamza ko matti kay hawalay kar diya geya
.. sath school
janay walay, sath
school say lotnay walay behan bhai juda ho gey
.. goraal primary school
ab malbay ka dheir tha jis mein janay kitnay hi bilal, hamza aur
bano bey-bas
mout ka shikar ho gey
. zeenat ka
khawand sajjad 12 kilometer door hasoo
gaaon kay aik school mein clerk tha
iss school kay girnay ki
khabar to
aa chuki magar sajjad ka kuch maloom na ho saka tha ...... logon ka
khyaal tha kay
iss school mein mojood saray log halaak ho chukay hain ........ zeenat
zinda hai.. magar
zindagi say naraz hai
kabhi apnay baal nochti hai aur kabhi apna
chehra
sochti ho gi ab kis kay saharay jiyon
sochti ho gi lamhon
mein kesay oss
ka aashyana ujar geya ........ bilal yaad aata ho ga na
... phir
hamza ki fikar satati
ho gi kay qabr kay andheron mein kitna dar lagay ga issay ..
aur bano ka masoom
chehra baar baar aankhon kay saamnay aa jata ho ga ....... ....
...... ab reh bhi kya geya hai dukh aanso.. aur yaadein sirf yaadein ... ... |