written by kashaan ...

part 1 of 5 ..

Al-Amaan ... Al-Amaan ... jab zameen laraz uthi ... Al-Amaan

Jaboori walon par kya guzri ...............

Ab reh bhi kya geya hai ...... dukh ...... aansoo .... aur yaadein ...... sirf yaadein.... 

bala-kot ujar geya .... mera aur aap ka bala-kot .... yeh 8 october ki khufnaak raat

ka teesra pehar tha .... hamari garyaan dheeray dheeray bala-kot ki hadood mein

dakhil ho rahi thein ....ek ajab  manzar tha ......  bahut ajab ...... har taraf malbay kay

dher aur giri hoi amaartein ...... har taraf gehra sakoot ...... jesay shehar par kisi

aaseib ka saaya ho .... dil bala-kot ki khubusrtyon aur rangeenyon ko dhoond raha

tha ..... magar .... yahan to manzar hi badal chuka tha  .... yahan zindagi rooth chuki

thi .... aur bus mout ka raqs tha .... inn wadyon ko kis ki nazar kha gai ... aesa lagta

tha  jesay kisi nay iss shehar par zameen ulat dee ho .. 8 october ki khufnak raat

ka teesra pehar aur darya-e-kunhar ki chinghaar .... yahan zameen abhi tak laraz

rahi thi aur aasman say pani baras raha tha ... ... ... ... ............. ........... .... .... ....

wo shakhs ..... shehar mein wo pehla shakhs tha jis say hamari baat hoi ...... umr

65 ya 70 saal ...... aankhon mein wehshat ....... apni maadri zubaan mein kehnay

laga ...... tum kehtay ho yeh zalzala tha ..... nehi ....... yeh zalzala nahi tha ....... yeh

qaymat hai ........ yaqeen karo qayamat aa gai hai ......sari dunya tabah ho chuki

haii .... abhi phir zameen hilay gi aur mein, tum, hum sab bhi mar jaein gey ........

kyon kay qayamat aa gai hai ...... yeh qayamat hai ..... qayamat ........ yeh kehtay

howay oss ki aankhein bhar aaein ....  .... .... ..........  hum darya kay daein kinaray

7 kilometer andar jaboori gaon mein dakhil ho rahay they ....... yahan kuch bhi na

bacha tha ... 300 gharon mein say aik bhi salamat nahi tha... har taraf  pathhar      

bikhray paray they ..... sara gaon tabah ho chuka tha ....... na makaan rahay na

makeen ...bus laashein hi laashein .... kuch aesay they jo zindagi bhar apnon ki

judai ka gham sehnay kay liey bach gey .... bay-bas ..... lachaar .. inn kay paas

lashon key liey kafan tak na they .... bay-basi hi bay-basi thi ...hamaray paas jo

 imdadi saaman tha wo khatm ho chuka tha .... ajeeb bay-basi ka aalam tha .... ..

oss aurat ka naam zeenat tha .... woh .... kabhi bilal kay chehray ko choomti thi 

kabhi bano ki peshani ... aur kabhi hamza say lipat jati thi … iss 35 saala aurat ki

siskyaan hain aur chaar su raqs karti wehshat ….... paharon kay daman mein 

rakhi 3 nannhi laashein ….. daein hath par 8 saala bilal apni maan kay gham say

bey-khabar dour mout ki wadyon mein gum ho chukka..darmayan mein bilal ki 6

saala behan bano jis ki muskurahtein hamesha kay leiy khamosh ho chukein ...

aur baaein hath par apni maan ka laadla 5 saala hamza jo maan kay chehray

par bosa diey bina hi ossay  alwida keh chukka ...maan ki aankhon kay saamnay

oss kay bachon ki laashein thein… zeenat kay teen hi bachay they …oss ki kul

kaainaat lut chuki… oss ki cheenkein dil dehla rahi thein …... kabhi kabhi to youn

lagta kay iss ki cheenkhon say arsh zameen par aa giray ga ........ .... .....  ........

yeh 9 ocotober ki shaam 4 bajay ka waqt tha jab bilal ..... bano ...  aur hamza kay

janazay uthaaey gey ….... zeenat deewana waar apnay bachon kay peechay

bhaag rahi thi ….. kehti thi Khuda kay waastay meray bachon ko kahin na lay kar

jao …  yeh meray laal hain..... bano nay aaj sehri bhi nahi kee … bilal aur hamza

bhi bhookay hain … inhein aftaar kon karaey ga … wo apni maqami zubaan mein

ban kar rahi thi magar lagta tha dil ghum say phut jaaey ga ….. aesa manzar tha

kay aanso zabt kay saray bandhan tor kay meray gallon par beh niklay … ... .......

sab maaein aik jesi hoti hain na … bahut masoom … bahut chahnay walein ….... ..

mein apnay doston say apnay aanso chupana chahta tha ...  magar ab shaid iss

ki zaroorat na rahi thi .. onn ki aankhon say pehlay hi aanso chalak rahay they…

hamein balakot aaey howay 15 ghantay ho chukay thay aur inn 15 ghanton mein

hum nay tabahi mout aur barbadi ki bahut si daastanein dekhi thein magar ab dil

say aur nahi saha geya… aaj 3 saal baad aankhein phir say bahut ro rahi thein…

bilal bano aur hamza ko matti kay hawalay kar diya geya ….. sath school janay

walay, sath school say lotnay walay behan bhai juda ho gey ….. goraal primary

school ab malbay ka dheir tha jis mein janay kitnay hi bilal, hamza aur bano

bey-bas mout ka shikar ho gey ……. zeenat ka  khawand sajjad 12 kilometer

door hasoo gaaon kay aik school mein clerk tha… iss school kay girnay ki khabar

to aa chuki magar sajjad ka kuch maloom na ho saka tha ...... logon ka khyaal tha

kay iss school mein mojood saray log halaak ho chukay hain ........ zeenat zinda

hai.. magar zindagi say naraz hai … kabhi apnay baal nochti hai aur kabhi apna

chehra … sochti ho gi ab kis kay saharay jiyon … sochti ho gi lamhon mein kesay

oss ka aashyana ujar geya ........ bilal yaad aata ho ga na …... phir hamza ki fikar

satati ho gi kay qabr kay andheron mein kitna dar lagay ga issay ..… aur bano ka

masoom chehra baar baar aankhon kay saamnay aa jata ho ga ....... .... ......

ab reh bhi kya geya hai … dukh … aanso.. aur yaadein … sirf yaadein … ... ...

written by kashaan

plz donate to help the victims ... just type word "donate" and send sms at 436 ... it will cost you 3 and half rupees ... send as many sms as you can ... today pakistan needs you ... today your motherland needs you .... donate as much as you can ...

chalo onn kay liey 

jiyo onn kay liey

janmon kay pyaray bandhan

hansta barasta jeewan

chehray ... wo roshan chehray

galyaan ... wo ghar ... wo aangan

wo kya ho gey ... kahan kho gey

wo hum say juda ho gey

chalo .... onn kay liey

jiyo.... onn kay liey

chalo hum log hain onn kay liey

jiyo ... phir say jiyo

chalo ... phir say jiyo

jee younhi sambhalta jaaey

khushyon mein dhalta jaaey

aankhein jahan bhi dekhein

manzar badalta jaaey

nai ho zameen

neya ho aasmaan

nai phir likhein daastaan

chalo onn kay liey

jiyo onn kay liey

basa do phir neya inn kay liey ek jahan

jiyo phir say jiyo

chalo onn kay liey jiyo

                                                                 Lyrics Lucky Ali ...

2nd part of "three days in earthquake hit areas" will be available on 20th november. send your comments at admin@apnichat.org

Comments ??? Send at admin@apnichat.org

  s">